us ke badan kā lams abhī uñgliyoñ meñ hai
ḳhushbū vo chāñdnī kī mire zā.iqoñ meñ hai
maiñ soch ke bhañvar meñ thā jis shaḳhs ke liye
vo ḳhud bhī kuchh dinoñ se baḌī uljhanoñ meñ hai
us kā vajūd ḳhāmushī kā ishtihār hai
lagtā hai ek umr se vo maqbaroñ meñ hai
maiñ āsmāñ pe naqsh nahīñ huuñ magar suno
ab bhī mirī shabīh ka.ī sūrajoñ meñ hai
merī tarah labāda ḳhamoshī kā oḌh le
apnā kiyā-dharā hai jo ab jholiyoñ meñ hai
maiñ kore kāġhazoñ kī qatāreñ udaas udaas
guzrī rutoñ ke dukh kī thakan bādaloñ meñ hai
har chand kā.enāt rahī be-karāñ magar
insān ibtidā hī se kuchh dā.eroñ meñ hai