kaun hai kis kā giraftār na samjhā jaa.e
yahī behtar hai ye asrār na samjhā jaa.e
maiñ ne kab duniyā meñ aane kī tamannā kī thī
mujh ko duniyā kā talabgār na samjhā jaa.e
saarī duniyā ko badalnā koī āsān nahīñ
kisī dīvāne ko be-kār na samjhā jaa.e
us ko bātin se sarokār hai zāhir se nahīñ
diin ko raunaq-e-bāzār na samjhā jaa.e
ik yahī baat to hai is meñ samajhne vaalī
mujhe kāfir use dīñ-dār na samjhā jaa.e
terī duniyā meñ tire husn kā shaidā.ī huuñ
ai ḳhudā mujh ko gunahgār na samjhā jaa.e
nau-e-insāñ kī baḌā.ī kā taqāzā hai yahī
rañg aur nasl ko me.aar na samjhā jaa.e