go husn kī sūrat haiñ mirī samt ravāñ bhī
ik ḳhvāb sī lagtī haiñ mujhe raushaniyāñ bhī
kuchh apnī kaho Dūbte tāroñ ko na dekho
shāyad na mile phir ye nashāt-e-guzarāñ bhī
sochā thā ki lūTūñ tirī furqat ke ḳhazīne
dekhā na gayā tere bichhaḌne kā samāñ bhī
kuchh dil bhī hai merā ġham-e-ayyām se bojhal
kuchh shaam kī dahlīz se uThtā hai dhuāñ bhī
kis ajnabī rah-rav ke ta.āqub meñ chalā hai
pā.egā na tū ret pe qadmoñ ke nishāñ bhī
kartā huuñ kabhī chashm-e-taḳhayyul se nazāra
hotā hai kabhī tujh pe mohabbat kā gumāñ bhī
tū hāsil-e-manzil bhī mirā rāh-numā bhī
tū mujh se gurezāñ bhī qarīb-e-rag-e-jāñ bhī