har samt rañg-o-nūr kā dariyā dikhā.ī de
har mauj-e-rañg meñ tirā chehra dikhā.ī de
har aa.ine meñ terā sarāpā dikhā.ī de
koī to is jahān meñ apnā dikhā.ī de
tai kis tarah ho jāda-e-nairañg-e-ārzū
har gaam terā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī de
kirneñ gurez-pā haiñ to ḳhushbū bahāna-jū
ai kaash koī apnā shanāsā dikhā.ī de
ik dāman-e-nazar ki bachānā muhāl hai
ik sho.ala-e-badan ki lapaktā dikhā.ī de
duniyā-e-rañg-o-nūr bahut be-karāñ sahī
pesh-e-nazar jo tū hai to phir kyā dikhā.ī de