Jameel Yusuf

KHud apni zat ka nam-o-nishan bhul gae

Jameel Yusuf

Jhelum, Punjab, Pakistan

1939
ḳhud apnī zaat kā nām-o-nishān bhuul ga.e
rihā hue to parinde uḌaan bhuul ga.e
is inhimāk se kār-e-zamīñ meñ mahv hue
zamīñ pe chhāyā huā āsmān bhuul ga.e
har imtihān meñ pahlā sabaq to yaad aayā
kitāb-e-ishq kahīñ darmiyān bhuul ga.e
na Thaharnā hī munāsib na uTh ke jaanā hī
balā ke ghar meñ hameñ mezbān bhuul ga.e
us ajnabī kī rifāqat meñ aisī ḳhushbū thī
ham apne saare safar kī thakān bhuul ga.e
na kar numūd kī ḳhvāhish ki ye jahāñ vaale
baḌe-baḌoñ kā bhī nām-o-nishān bhuul ga.e
kuchh is tarah ġham-e-umr-e-ravāñ ne ḳhaak kiyā
firāq-o-vasl kī sab dāstān bhuul ga.e
Top Urdushayar.com