huā chalī to nasha chhā gayā fazāoñ meñ
ḳhayāl Duub gayā duur kī sadāoñ meñ
na haath aa.e mire dauḌte hue lamhe
safar kaTā hai mirā bādaloñ kī chhāñv meñ
meñ apne shahr ke naqsh-o-nigār bhuul gayā
kisī ne luuT liyā mujh ko chaaT gaañv meñ
na ishq kī koī manzil na husn kā koī taur
ye aag kaise giraftār ho vafāoñ meñ
ye fāsloñ ke sarāboñ se sair ho na sake
na jaane tishnagī kitnī hai mere paañv meñ
qadam qadam pe mujhe sajda-gah nazar aa.e
ghirā huā huuñ maiñ bandoñ meñ yā ḳhudāoñ meñ
ise bhī gāhe-ba-gāhe nigāh meñ rakhnā
'jamīl' bhī to hai tere ġhazal-sarāoñ meñ