Jameel Yusuf

phir ruk nahin saka hun kisi bhi chaTan se

Jameel Yusuf

Jhelum, Punjab, Pakistan

1939
phir ruk nahīñ sakā huuñ kisī bhī chaTān se
aisā girā huuñ roz-e-azal āsmān se
hai jabr meñ bhī ek gumāñ iḳhtiyār kā
do chaar har qadam pe hoñ ik imtihān se
ab maiñ huuñ aur havāoñ kī sāzish kā sāmnā
ik tiir huuñ chalā huuñ qazā kī kamān se
ik aa.ina ki jis meñ kahīñ baal paḌ gayā
ik silsila ki TuuT gayā darmiyān se
gum-sum khaḌe haiñ ab dar-o-dīvār aur maiñ
vo log kab ke jā bhī chuke haiñ makān se
ḳhushiyāñ jo mujh ko mil na sakīñ is jahān meñ
mujh ko bulā rahī haiñ na.e ik jahān se
is baat kā 'jamīl' mujhe kuchh pata nahīñ
iqrār kar rahā huuñ maiñ jis kā zabān se
Top Urdushayar.com