bhiiḌ aisī hai ki mujh ko rāsta miltā nahīñ
gul koī khiltā nahīñ sho.ala koī uThtā nahīñ
ai mire shauq-e-talab tere junūñ kī ḳhair ho
tū ne kyā had-e-nigah kā fāsla dekhā nahīñ
ai ġhurūr-e-husn maiñ tere badan kā aks huuñ
mahv-e-hairat huuñ ki tū ne mujh ko pahchānā nahīñ
ek pal meñ ye ridā-e-āb meñ chhup jā.eñgī
rañg kī lahroñ ke pīchhe bhāgnā achchhā nahīñ
dil jahāñ le jaa.e dil ke saath jaanā chāhiye
is se baḌh kar aur koī rahnumā hotā nahīñ
jis ke jalvaoñ ne azal se muztarib rakkhā mujhe
vo to mere sāmne bhī aaj tak aayā nahīñ