ye ajab rāsta hai jis pe lagāyā hai mujhe
mahv-e-hairat huuñ ki kyā chiiz banāyā hai mujhe
terī duurī bhī hai mushkil tirī qurbat bhī muhāl
kis qadar tū ne mirī jaan satāyā hai mujhe
tū kisī phuul kisī aañkh ke parde meñ rahā
tū ne kab apnā hasīñ chehra dikhāyā hai mujhe
mere firdaus kī nahreñ mirī ḳhātir haiñ to kyuuñ
pyaas ke dasht meñ hairān phirāyā hai mujhe
saarī maḳhlūq se taqvīm meñ ahsan huuñ maiñ
aur phir aag kā īñdhan bhī banāyā hai mujhe
apnī taḳhrīb pe nādim huuñ na ta.amīr pe ḳhush
tū ne Dhāyā hai mujhe tū ne banāyā hai mujhe