Jameel Yusuf

teri talab mein aise giraftar ho gae

Jameel Yusuf

Jhelum, Punjab, Pakistan

1939
terī talab meñ aise giraftār ho ga.e
ham log ḳhud bhī raunaq-e-bāzār ho ga.e
kyā ḳhvāb thā ki kuchh nahīñ Thahrā nigāh meñ
kyā aks thā ki naqsh-ba-dīvār ho ga.e
hadd-e-nazar bichhā thā tirī diid kā samāñ
jo rāste the sahl vo dushvār ho ga.e
un ko bhī apne naam kī hurmat aziiz thī
jo terā saath dene pe tayyār ho ga.e
biphrā huā badan kisī qātil se kam na thā
ham bhī vufūr-e-shauq meñ talvār ho ga.e
go apne paas ek nazar ke sivā na thā
ham har but-e-hasīñ ke ḳharīdār ho ga.e
ye shahr zalzaloñ ke thapeḌoñ se hil gayā
kyā kyā ajab mahal the ki mismār ho ga.e
ḳhvāhish kī uljhanoñ pe koī bas na chal sakā
da.ave fusūn-e-yār ke be-kār ho ga.e
Top Urdushayar.com