aañkh be-qābū hai duniyā kī tarah
dil hai pahlū meñ tamannā kī tarah
koī āvāz koī guuñj nahīñ
vaqt chup-chāp hai sahrā kī tarah
tū hai ik phailtī baḌhtī ḳhushbū
maiñ huuñ ik sho.ala-e-tanhā kī tarah
tū mirī raah meñ kyuuñ haa.il hai
ek umDe hue dariyā kī tarah
mujh ko ma.alūm nahīñ thā ai dost
tū bhī begāna hai duniyā kī tarah
duur ufuq-pār hai shab pichhle-pahar
koī ubhrā ruḳh-e-zebā kī tarah
shahr meñ chāñdnī ban kar utrā
chhā gayā nashsha-e-sahbā kī tarah
bas tire rañg-e-hayā kī mānind
hū-ba-hū tere sarāpā kī tarah
ab kahāñ pā.ūñgā maiñ naqsh-e-'jamīl'
DhūñDhtā phirtā huuñ dariyā kī tarah