tirī āñkheñ tirā husn-e-javāñ tahrīr karte haiñ
zamīñ kī pastiyoñ meñ āsmāñ tahrīr karte haiñ
koī mausam ḳhizāñ se āshnā us ko nahīñ kartā
ham apne ḳhuun se jo gulsitāñ tahrīr karte haiñ
zamāne kī koī karvaT use sañvlā nahīñ saktī
ham apnī aañch se jo kahkashāñ tahrīr karte haiñ
koī dīvār us kā rāsta kyā rok saktī hai
havā kī lauh par apnā bayāñ tahrīr karte haiñ
guzarte vaqt ko āb-e-ravāñ kā naam dete haiñ
farāġhat ko nashāt-e-be-karāñ tahrīr karte haiñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko alfāz meñ Dhālā nahīñ jaatā
jo karnā chāhte haiñ vo kahāñ tahrīr karte haiñ
zamāne ko vo apnī dāstāñ ma.alūm hotī hai
haqīqat meñ ham apnī dāstāñ tahrīr karte haiñ