Jameel Yusuf

talluqat ke zaKHmon ka hun sataya hua

Jameel Yusuf

Jhelum, Punjab, Pakistan

1939
ta.alluqāt ke zaḳhmoñ kā huuñ satāyā huā
jo shaam aa.ī mirā saaya bhī parāyā huā
miTegā zehan se kab terī yaad kā afsūñ
hazār sadiyoñ se ye bojh hai uThāyā huā
vo ek shaḳhs abhī dil meñ chhup ke baiThā hai
vo shaḳhs jo kabhī apnā kabhī parāyā huā
har ek lamhe kī aahaT pe dil laraztā hai
zamāne bhar ko ho jaise gale lagāyā huā
na.ī rutoñ kī huā ne ajiib sāzish kī
ki mauj-e-ḳhūñ meñ hai har barg-e-gul nahāyā huā
kisī ke saañs kī āvāz tak nahīñ aatī
sukūt-e-marg ne pahra hai vo biThāyā huā
har ik nazar meñ koī ajnabī sī aahaT hai
har ek dil meñ koī ḳhauf hai samāyā huā
vo tīrgī hai ki āñkhoñ meñ ik kiran bhī nahīñ
vo ḳhāmushī hai ki lamhoñ ne zahar khāyā huā
maiñ apne vaqt ke zindāñ kā ek qaidī huuñ
nazar nazar hai fasīloñ ne sar uThāyā huā
gurez-pā hai vo umr-e-azīz kī mānind
hai ek umr se apnā jise banāyā huā
na koī yaar na hamdam na koī hamrāhī
tumhārī zulf kā saaya to ḳhair saaya huā
Top Urdushayar.com