ab to apne jism kā saaya bhī begāna huā
maiñ tirī mahfil meñ aa kar aur bhī tanhā huā
vaqf-e-dard-e-jāñ huā mahv-e-ġham-e-duniyā huā
dil ajab shai hai kabhī qatra kabhī dariyā huā
terī aahaT ke ta.āqub meñ huuñ sadiyoñ se ravāñ
rāstoñ ke pech-o-ḳham meñ Thokareñ khātā huā
lazzat-e-dīdār kī ai sā.at-e-raḳhshāñ Thahar
paḌh rahā huuñ maiñ tire chehre pe kuchh likkhā huā
ab to tere husn kī har anjuman meñ dhuum hai
jis ne merā haal dekhā terā dīvāna huā
vo samay ruḳhsat hue hamdam vo shāmeñ kho ga.iiñ
kin ḳhayāloñ ke jhameloñ meñ hai tū uljhā huā