māhaul tīrgī kā muqaddar baḌhā gayā
ghar kā charāġh ghar ke ujāle ko khā gayā
dekhā hai ham ne jalne lagī haiñ vo bastiyāñ
jin bastiyoñ se ho ke koī rahnumā gayā
insāniyat ġharīb bhaTaktī hai dar-ba-dar
har shaḳhs apne ḳhaul-e-anā meñ samā gayā
ham ne pilāyā ḳhuun har ik inqalāb ko
ham ko hī inqalāb kā dushman kahā gayā
'rahbar' ye zindagī thī bahut mo'atabar magar
merā vajūd mujh ko tamāshā banā gayā