Rahbar Jaunpuri

bikhra bikhra hasti ka shiraaza hai

Rahbar Jaunpuri

bikhrā bikhrā hastī kā shīrāza hai
dīvāroñ par ḳhuun abhī tak taaza hai
tum par koī vaar na hogā pīchhe se
dost nahīñ ye dushman kā darvāza hai
ik ik kar ke saarī qadreñ TuuT ga.iiñ
ye apnī ḳhuddārī kā ḳhamyāza hai
kaun kisī kī suntā hai is bastī meñ
chīḳh tumhārī sahrā kā āvāza hai
andar se sab qātil haiñ sab ḳhūnī haiñ
chehroñ par iḳhlās kā jin ke ġhāza hai
ham-sāya hī ham-sā.e ko lūTegā
'rahbar' merā aisā ab andāza hai
Top Urdushayar.com