jab jab rafāqatoñ se guzarnā paḌā mujhe
pur-ḳhār vādiyoñ meñ utarnā paḌā mujhe
ahd-e-taġhayyurāt meñ jiine ke naam par
apnī rivāyatoñ se mukarnā paḌā mujhe
dariyā ke shor-o-shar se meñ ḳhā.if na thā magar
sāhil ke intishār se Darnā paḌā mujhe
bachpan ke sab nuqūsh nigāhoñ meñ phir ga.e
kuchh din jo apne gaañv Thaharnā paḌā mujhe
ik lamha-e-hayāt kī taz.īn ke liye
sadiyoñ simaT simaT ke bikharnā paḌā mujhe
us manzil-fareb se guzrā huuñ maiñ jahāñ
apnā bhī e'tibār na karnā paḌā mujhe