kis tarah rakh luuñ saath kisī ham-safar ko maiñ
pahchāntā huuñ ḳhuub har ik mo'atabar ko maiñ
dāman meñ jis ke khel rahī ho shab-e-siyāh
kaise karūñ qubūl bhalā is sahar ko maiñ
rotā hai dil siyāsat-e-ahd-e-jadīd par
jab dekhtā huuñ ġham se pareshāñ bashar ko maiñ
umr-e-darāz 'ḳhizr' mubārak ho aap ko
apnā rahā huuñ zindagī-e-muḳhtasar ko maiñ
'rahbar' nashāt-o-aish kī manzil qarīb hai
tai kar chukā huuñ ġham kī har ik rahguzar ko maiñ