kyā se kyā ho ga.ī is daur meñ hālat ghar kī
dasht pur-nūr hue baḌh ga.ī zulmat ghar kī
sab kī dahlīzoñ pe jalte haiñ ta.assub ke charāġh
kyā karegā koī aise meñ hifāzat ghar kī
ḳhāmushī farz-e-rivāyāt ināyat īsār
inheñ buniyādoñ pe mauqūf hai azmat ghar kī
jin ke hisse meñ koī sāya-e-dīvār nahīñ
vo bhī insāñ haiñ unheñ bhī hai zarūrat ghar kī
laakh qismat meñ ġharīb-ul-vatanī ho 'rahbar'
khīñch laatī hai magar phir bhī mohabbat ghar kī