kabhī raste ko rote haiñ kabhī mushkil ko rote haiñ
jo nākām safar hote haiñ vo manzil ko rote haiñ
zarā andāz to dekhe koī in dil-figāroñ kā
palaTte haiñ varaq maazī kā mustaqbil ko rote haiñ
ḳhudāyā kis qadar nādān haiñ ye kashtiyāñ vaale
samundar par nazar rakhte haiñ aur sāhil ko rote haiñ
badal diiñ inqilāb-e-vaqt ne qadreñ zamāne kī
sajāte the jo ḳhud mahfil vo ab mahfil ko rote haiñ
guzartī hai isī aalam meñ 'rahbar' zindagī apnī
kabhī dil ham ko rotā hai kabhī ham dil ko rote haiñ