Rahbar Jaunpuri

qalam KHamosh hai alfaz ki tasir bole hai

Rahbar Jaunpuri

qalam ḳhāmosh hai alfāz kī tāsīr bole hai
hamārī safha-e-qirtās par tahrīr bole hai
ḳhudārā ab mujhe āzād kar do qaid-e-paiham se
machal kar paañv meñ lipTī huī zanjīr bole hai
ajab me.amār haiñ jin kī samajh meñ ye nahīñ aatā
imārat kitnī mustahkam hai ḳhud ta.amīr bole hai
yahī mahsūs hotā hai ajantā kī guphāoñ meñ
ki har tasvīr to chup hai fan-e-tasvīr bole hai
haqīqat miT nahīñ saktī badal dene se tārīḳheñ
har ik fan meñ hamārā husn-e-ālam-gīr bole hai
karishma ye nahīñ to aur kyā hai ḳhūn-e-nāhaq kā
hamārī be-gunāhī par yahāñ shamshīr bole hai
ḳhudā bande se kyā pūchhe vahāñ us kī razā 'rahbar'
hathelī kī lakīroñ meñ jahāñ taqdīr bole hai
Top Urdushayar.com