kisī tartīb meñ rakkhī na bikharne dī hai
maiñ ne ye zindagī bekār guzarne dī hai
tañg kartī hai bahut tishna-labī ham ko bhī
saañs bhartā hai agar pyaas to bharne dī hai
itnī be-rahm masīhā.ī mire paas rahī
zinda kar dī koī ḳhvāhish kabhī marne dī hai
koī gauhar tirī ā.inda kī lahroñ meñ nahīñ
ek dariyā ko ḳhabar pichhle-pahar ne dī hai
is mashaqqat ne use tajraba in.aam diyā
ik thakan us ko magar dasht-e-safar ne dī hai