Qasim Yaqub

maine bhi sina hawa-dar bana rakkha hai

Qasim Yaqub

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1978
maiñ ne bhī siina havā-dār banā rakkhā hai
aañkh ko rauzan-e-dīvār banā rakkhā hai
peḌ ne rūThe hue mausam-e-gul ke ġham meñ
shāḳh ko dast-e-azā-dār banā rakkhā hai
sañg-e-ḳhvāhish kabhī dariyā ke havāle na kiye
pheñkne ke liye kohsār banā rakkhā hai
maiñ ne kāġhaz kī zirah jism pe pahnī huī hai
aur qalam haath meñ talvār banā rakkhā hai
saañs lenā bhī mire vāste nā-jā.ez hai
ḳhud ko yuuñ maiñ ne gunahgār banā rakkhā hai
vahī manzar jo idhar phailā nazar aayā thā
vahī ab jhiil ne us paar banā rakkhā hai
Top Urdushayar.com