vādi-e-ġham meñ tere saath saath bhaTak rahā huuñ maiñ
tujh ko mirī talāsh hai aur tujhe DhūñDtā huuñ maiñ
hañstā huuñ boltā bhī huuñ rotā huuñ sochtā bhī huuñ
puurā mizāj-e-ādmī sab ko dikhā rahā huuñ maiñ
itnā hujūm-e-ādmī hai ki hisāb meñ nahīñ
phir bhī gila hai aañkh se kuchh nahīñ dekhtā huuñ maiñ
dekhtā huuñ maiñ vāqi.āt silsila-e-taġhayyurāt
sadiyoñ se vast meñ banā shahr kā rāsta huuñ maiñ
mauja-e-gard-e-rah uThā hāsil-e-zindagī lagā
qāfila-e-hayāt kī sa.ī se āshnā huuñ maiñ