Qasim Yaqub

shikasta ghar mein koi chiz bhi nahin puri

Qasim Yaqub

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1978
shikasta ghar meñ koī chiiz bhī nahīñ puurī
kahīñ havā to kahīñ raushnī nahīñ puurī
maiñ tujh ko dekh to saktā huuñ chhū nahīñ saktā
tū hai magar tirī maujūdgī nahīñ puurī
anā sambhālte dil kho diyā hai maiñ ne vahīñ
tumhāre sāmne se vāpsī nahīñ puurī
maiñ sochtā huuñ ki ab kūza-gar badal hī luuñ
jo mil rahī hai mujhe behtarī nahīñ puurī
maiñ ro rahā huuñ magar sāneha batātā hai
ki us kī aañkh se vābastagī nahīñ puurī
kahīñ to ho jahāñ bachche hī sirf rahte hoñ
kisī ilāqe meñ bhī zindagī nahīñ puurī
Top Urdushayar.com