Qasim Yaqub

sochna aata hai danai mujhe aati nahin

Qasim Yaqub

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1978
sochnā aatā hai dānā.ī mujhe aatī nahīñ
bonā aatā hai gul-ārā.ī mujhe aatī nahīñ
sar uThātā huuñ to tā-hadd-e-nazar paanī hai
Dūbnā chāhūñ to gahrā.ī mujhe aatī nahīñ
hañstā huuñ kheltā huuñ chīḳhtā huuñ rotā huuñ
apne kirdār meñ yak-jā.ī mujhe aatī nahīñ
roz-marra meñ lapeTī huī bosīda-fazā
apne atrāf se ubkā.ī mujhe aatī nahīñ
raunaqoñ meñ bhī alag ho ke rahā huuñ aksar
band kamre meñ bhī tanhā.ī mujhe aatī nahīñ
lashkar aayā thā magar qāfile kī sūrat huuñ
kisī bhī shakl meñ paspā.ī mujhe aatī nahīñ
Top Urdushayar.com