Qasim Yaqub

kuchh aansu ro lene ke baad nazar-e-KHwab ho gaya

Qasim Yaqub

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1978
kuchh aañsū ro lene ke baad nazar-e-ḳhvāb ho gayā
maiñ tum ko yaad karte karte gahrī niind so gayā
rageñ lakīreñ ho ga.iiñ masām nuqte ban ga.e
badan tumhārī yaad meñ hurūf-e-nazm ho gayā
maiñ bhuul aayā khol kar kitāb-e-umr paḌhte vaqt
sahāb-e-ġham jo guzrā kal varaq varaq bhigo gayā
ab us ke ratjagoñ ne bhī pahan liyā ġhilāf-e-nīñd
jo chilla-kash thā ġhaar meñ hujūm meñ vo kho gayā
maiñ mahv-e-sher-goī thā mujhe ḳhabar na ho sakī
ki mere ird gird bhī zamāna saarā so gayā
Top Urdushayar.com