Hanif Fauq

raat Dhalte hi safiran-e-qamar aate hain

Hanif Fauq

raat Dhalte hī safīrān-e-qamar aate haiñ
dil ke ā.īne meñ sau aks utar aate haiñ
sail-e-mahtāb se jab naqsh ubhar aate haiñ
os girtī hai to paiġhām-e-sharar aate haiñ
sā.at-e-dīd kā gulzār ho yā sāya-e-dār
aise kitne hī maqāmāt-e-safar aate haiñ
jāgtī āñkhoñ ne jin lamhoñ ko bikhrā dekhā
vahī lamhe mire ḳhvāboñ meñ nikhar aate haiñ
vaqt kī laash pe rone ko jigar hai kis kā
kis janāze ko liye ahl-e-nazar aate haiñ
raat kī baat hī kyā raat ga.ī baat ga.ī
raat ke ḳhvāb kahīñ din ko nazar aate haiñ
vādī-e-ġharb se paiham hai añdheroñ kā nuzūl
matla-e-sharq se paiġhām-e-sahar aate haiñ
Top Urdushayar.com