Qasim Yaqub

mayassar aaj sarokar se ziyaada hai

Qasim Yaqub

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1978
mayassar aaj sarokār se ziyāda hai
diye kī raushnī miqdār se ziyāda hai
ye jhāñk letī hai andar se ārzū-ḳhāna
havā kā qad mirī dīvār se ziyāda hai
ghuTan se Darte maiñ shahr-e-havā meñ aayā thā
magar ye tāzgī darkār se ziyāda hai
yūñhī maiñ aañkh se bāhar nikal ke dekhtā huuñ
mirā qadam mirī raftār se ziyāda hai
maiñ roz ghar kī ḳhamoshī meñ us ko suntā huuñ
jo shor raunaq-e-bāzār se ziyāda hai
maiñ muttaqī huuñ magar hausla gunāhoñ kā
mire badan meñ gunahgār se ziyāda hai
Top Urdushayar.com