kis mashaqqat se mujhe jism uThānā paḌā hai
shaam hote hī tire shahr se jaanā paḌā hai
maiñ tujhe hañstā huā dekh ke ye bhuul gayā
ki mire chāroñ taraf rotā zamāna paḌā hai
jamma pūñjī hai mire jism meñ kuchh āñsuoñ kī
ye mirā dil to nahīñ ek ḳhazāna paḌā hai
der tak baaġh ke kone meñ koī aayā nahīñ
baat karne ke liye ḳhud ko bulānā paḌā hai
din ne dastak dī to koī bhī nahīñ jaagā thā
aaj sūraj se mujhe haath milānā paḌā hai
ḳhālī jag.hoñ kī taraf kar ke ishāra 'qāsim'
kyā batāte ho yahāñ merā nishāna paḌā hai