bā-samar hone kī ummīd pe baiThā huuñ maiñ
apnī taqdīr meñ bārānī ilāqa huuñ maiñ
hiddat-e-lams mujhe ātish-e-ehsās lagā
barf-ālūd havāoñ kā jamāyā huuñ maiñ
mere kirdār ko is daur ne samjhā hī nahīñ
qissa-e-ahd-e-guzishta kā havāla huuñ maiñ
umr hai rassī pe chalte hue shole kī tarah
khel meñ geñd pakaḌtā huā bachcha huuñ maiñ
hañstā huuñ kheltā huuñ chīḳhtā huuñ rotā huuñ
itne mutazād ravayyoñ kā Thikāna huuñ maiñ
har na.e paat kī aamad kī ḳhushī mujh se hai
aur har jhaḌtī huī shāḳh kā sadma huuñ maiñ
aise māhaul kā hissa huuñ jo merā nahīñ hai
kabhī fariyād sarāpā kabhī shikva huuñ maiñ