jism-o-jāñ kis ġham kā gahvāra bane
aag se nikle to añgāra bane
shaam kī bhīgī huī palkoñ meñ phir
koī aañsū aa.e aur taarā bane
lauh-e-dil pe naqsh ab koī nahīñ
vaqt hai aa jaao shah-pārā bane
ab kisī lamhe ko manzil maan leñ
dar-ba-dar phirte haiñ bañjārā bane
kam ho gar jhūTe sitāroñ kī numūd
ye zamīñ bhī anjuman-ārā bane
jurm-e-nā-karda-gunāhī hai bahut
zindagī hī kyuuñ na kaffāra bane
toḌ Dāleñ ham nizām-e-ḳhastagī
ye jahāñ kohna dobārā bane