Adnan Mohsin

ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chalti rahi

Adnan Mohsin

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1985
ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chaltī rahī
samundaroñ ke ḳhad-o-ḳhāl ko badaltī rahī
kisī ke qadmoñ se raste lipaT ke royā kiye
kisī kī maut pe ḳhud maut haath maltī rahī
use kināre kā kañkar samajh ke paañv na rakh
ye aarzū mere dil ke sadaf meñ paltī rahī
ġhurūr-e-tishna-dahānī tirī baqā kī qasam
nadī hamāre laboñ kī taraf uchhaltī rahī
jamī thī barf ravayyoñ kī surḳh āñkhoñ par
darūn-e-jism koī aag thī machaltī rahī
tamāsh-gāh-e-zamāna meñ zindagī apnī
sambhal ke girtī rahī gir ke phir sambhaltī rahī
ye kaun ā.ina-paikar yahāñ se guzrā hai
ki jis kī gard-e-safar par nazar phisaltī rahī
Top Urdushayar.com