taaza phuul sajā.eñ kyuuñ ham kamre ke gul-dānoñ meñ
terī ḳhushbū shāmil hai rozāna ke mehmānoñ meñ
kaisī kaisī bastī ujḌī ahl-e-ḳhirad ke hāthoñ se
dīvānoñ ne shahr basā.e jā kar registānoñ meñ
apne aañsū dafn hue haiñ aañkh kī giilī qabroñ meñ
apnī chīḳheñ qaid rahī haiñ zehnoñ ke zindānoñ meñ
us ke ruup kī dhuup kā saaya chhāñv bichhāte peḌoñ par
us kī shoḳh hañsī kā charchā shahr ke qahva ḳhānoñ meñ
dhuñd to poñchhī bhī jā saktī hai chashme ke shīshoñ se
vaqt kī raakh paḌī rahtī hai ThanDe ātish-dānoñ meñ
pairoñ se Takrāte haiñ jab jhoñke sard havāoñ ke
haath larazne lag jaate haiñ chamḌe ke dastānoñ meñ
tanhā.ī kā bhārī patthar ek zarā sā sarkā hai
kaḌiyoñ kī āvāz paḌī hai ik qaidī ke kānoñ meñ