Adnan Mohsin

ism ban kar tere honTon se phisalta hua main

Adnan Mohsin

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1985
ism ban kar tire hoñToñ se phisaltā huā maiñ
barf-zāroñ meñ utar aayā huuñ jaltā huā maiñ
us ne paimāne ko āñkhoñ ke barābar rakkhā
us ko achchhā nahīñ lagtā thā sambhaltā huā maiñ
raat ke pichhle pahar chāñd se kuchh kam to na thā
din kī sūrat tirī bāñhoñ se nikaltā huā maiñ
tere pahlū meñ zarā der ko sustā lūñgā
tujh tak aa pahuñchā agar niiñd meñ chaltā huā maiñ
merī rag rag meñ lahū ban ke machaltī huī tū
terī sāñsoñ kī harārat se pighaltā huā maiñ
vo kabhī dhuup nazar aa.e kabhī dhuñd lage
dekhtā huuñ use har rañg badaltā huā maiñ
Top Urdushayar.com