kabhī to ḳhvāb kabhī ratjage se bāteñ kiiñ
tire gumān meñ ham ne diye se bāteñ kiiñ
ridā-e-shab pe na.e tarz se visāl likhā
bichhaḌne vāloñ ne ik dūsre se bāteñ kiiñ
rahī na yāroñ se ummīd ġham-gusārī kī
ghar aa.e girya kiyā aa.ine se bāteñ kiiñ
ajab mazāq hai ham ne ḳhudā ke dhoke meñ
tamām umr kisī vasvase se bāteñ kiiñ
janāb-e-shaiḳh se ik baar sāmnā ho jaa.e
karegā yaad kisī sar-phire se bāteñ kiiñ
bahut adaq thiiñ ibārāt zindagānī kī
zarā sī der ruke hāshiye se bāteñ kiiñ
hamāre hoñToñ pe pur-lutf qahqahe bikhre
hamārī āñkhoñ ne kitne maze se bāteñ kiiñ
chale to chalte ga.e haath thaam kar chup-chāp
judā hue to bahut rāste se bāteñ kiiñ