Adnan Mohsin

wahi ki jis mein ghurur-e-shahi milaya gaya

Adnan Mohsin

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1985
vahī ki jis meñ ġhurūr-e-shahī milāyā gayā
mirā ḳhamīr usī ḳhaak se uThāyā gayā
ab us pe chāñd sitāre bhī rashk karte haiñ
vo ik diyā jo kabhī dasht meñ bujhāyā gayā
ugegī fasl mazāfāt meñ baġhāvat kī
fasīl-e-shahr se mujh ko agar girāyā gayā
magar maiñ zaat ke sahrā meñ mahv-e-raqs rahā
mujhe bhī koh-e-nidā kī taraf bulāyā gayā
mire liye tere khetoñ meñ bhuuk ugtī hai
mire liye to ye gulshan nahīñ sajāyā gayā
Top Urdushayar.com