Abid Almi

wo ek nigah jo KHamosh si hai barson se

Abid Almi

vo ik nigāh jo ḳhāmosh sī hai barsoñ se
ye kaun jaane vo kyā kah rahī hai barsoñ se
hamāre chehroñ pe ab apnā-pan nahīñ ugtā
ye vo zamīñ hai jo banjar paḌī hai barsoñ se
badan kā saarā lahū māñgtā hai vo ik lafz
nigāh zehn kī jis par Tikī hai barsoñ se
kahāñ se lā.ūñ vo tasvīr jo banī hī nahīñ
nazar meñ gard uḌe jā rahī hai barsoñ se
mirī nigāh meñ din hai mire badan meñ hai raat
mirī kitāb adhūrī paḌī hai barsoñ se
samundaroñ meñ kabhī bādaloñ ke ḳhemoñ meñ
ik aag mujh ko liye phir rahī hai barsoñ se
kahāñ kahāñ liye phirtī hai raat ko 'ābid'
vo ik sadā jo mujhe DhūñDhtī hai barsoñ se
Top Urdushayar.com