dil-e-nādāñ pe shikāyat kā gumāñ kyā hogā
chand ashkoñ se jafāoñ kā bayāñ kyā hogā
shab ke bhaTke hue raahī ko ḳhabar de koī
sub.h-e-rañgīñ kī bahāroñ kā nishāñ kyā hogā
nāla-e-murġh-e-giraftār se be-zārī kyā
gosh-e-sayyād pe ab ye bhī garāñ kyā hogā
sach ke kahne se agar jī kā ziyāñ hotā hai
sach bahar-hāl hai sach mohr-e-dahāñ kyā hogā
chup raheñ ham to sar-e-dār pukāregā lahū
chand hī roz meñ ā.īn-e-jahāñ kyā hogā
zarre zarre pe koī phūñkegā afsūn-e-bahār
māna-e-josh-e-numū jaur-e-ḳhizāñ kyā hogā
chashm-e-nargis ko havas hai ki chaman meñ dekhe
ātish-e-gul ke bhaḌakne kā samāñ kyā hogā
ab to ham shahr-e-nigārāñ se chale aa.e haiñ
bā.is-e-vahshat-e-dil husn-e-butāñ kyā hogā