Abid Almi

jo shaKHs tujhko farishta dikhai deta hai

Abid Almi

jo shaḳhs tujh ko farishta dikhā.ī detā hai
vo aa.ine se Darā sā dikhā.ī detā hai
kiyā thā dafn jise farsh ke tale kal raat
vo aaj chhat se utartā dikhā.ī detā hai
tirī nigāh meñ mumkin hai kuchh aTak jaa.e
mujhe to sirf añdherā dikhā.ī detā hai
savāl zehn meñ chubhte haiñ nashtaroñ kī tarah
ye ḳhuun bhī mujhe hotā dikhā.ī detā hai
ḳhalā meñ Duub chukī hai nigāh jab merī
vo pūchhte haiñ tujhe kyā dikhā.ī detā hai
nigaltā jaatā hai chup-chāp ḳhushk jañgal use
ye āftāb to ThanDā dikhā.ī detā hai
naqāb badlo kuchh aise ki mo.ajiza ho jaa.e
hujūm varna bikhartā dikhā.ī detā hai
tumhārī yaad ke dariyā tamām suukh chale
jahāñ-tahāñ mujhe sahrā dikhā.ī detā hai
sadā.eñ gūñjtī rahtī haiñ rāt-bhar kis kī
makān vaise to suunā dikhā.ī detā hai
jo peḌ tum ne lagāyā thā mere āñgan meñ
vo is baras mujhe girtā dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com