tum ne jab ghar meñ añdheroñ ko bulā rakkhā hai
uTh ke so jaao ki darvāze pe kyā rakkhā hai
har kisī shaḳhs ke rone kī sadā aatī hai
phir kisī shaḳhs ne bastī ko jagā rakkhā hai
apnī ḳhātir bhī koī lafz tarāsheñ yaaro
ham ne kis vāste yuuñ ḳhud ko bhulā rakkhā hai
dekhne ko hai badan aur haqīqat ye hai
ek malba hai jo muddat se uThā rakkhā hai
tū agar thā to bahut duur the ham tujh se ki ab
tū nahīñ hai to tujhe paas biThā rakkhā hai
ham kisī tarah tujhe DhūñD leñ mumkin hī nahīñ
tū ne har raah ko sahrā se milā rakkhā hai