Abid Almi

mera badan hai magar mujhse ajnabi hai abhi

Abid Almi

mirā badan hai magar mujh se ajnabī hai abhī
mire ḳhayāl se mujh meñ koī kamī hai abhī
sahar sahar na pukāro dubak ke so jaao
tumhāre hisse kī shab to bahut paḌī hai abhī
na pūchho kaise huiiñ Dher ghar kī dīvāreñ
vo ik sadā usī malbe meñ ghūmtī hai abhī
vo jis kī lahroñ ne sadiyoñ kā farq Daal diyā
hamāre beach meñ haa.il vahī nadī hai abhī
maiñ thak gayā huuñ mujhe ek lamha sone do
maiñ jāntā huuñ ki manzil bahut paḌī hai abhī
maiñ us ke vāste sūraj kahāñ se āḳhir lā.ūñ
na jaane raat mujhe kyā samajh rahī hai abhī
na jaane kab se safar meñ thī us ko mat chheḌo
ye gard mere badan par zarā jamī hai abhī
vo maiñ nahīñ thā vo merī sadā thī galiyoñ meñ
ki mere paañv meñ zanjīr to paḌī hai abhī
na jaane vaqt kab album sameT le apnā
ye tez tez havā yuuñ to chal rahī hai abhī
Top Urdushayar.com