vo jo har raah ke har moḌ par mil jaatā hai
ab ke pūchheñge ki us shaḳhs kā qissa kyā hai
maiñ vo patthar huuñ nahīñ jis ko milā sañg-tarāsh
maiñ ne har shakl ko apne meñ samo rakkhā hai
yūñhī chup-chāp bhalā baiThe rahoge kab tak
koī darvāza kahīñ yuuñ bhī khulā kartā hai
jab bhī girtī hai kisī kūche meñ koī dīvār
mujh ko lagtā hai koī shaḳhs bahut royā hai
paañv jalte haiñ yahāñ jism bhī jal jā.egā
tum ne kiyā soch ke sahrā meñ qadam rakhā hai
TūTte bante hī ye umr guzar jā.egī
merī har shakl meñ ik naqs ubhar aatā hai
ham ne har daur ke siine meñ haiñ ghoñpe ḳhanjar
aur har daur ke siine se lahū Tapkā hai
tum ne pūchhā hai ki tum kyā ho kahāñ ho kyuuñ ho
ye to batlāo ki is soch meñ kyā rakkhā hai
dasht ke peḌoñ se kyā pūchh rahe ho 'ābid'
bhuul jaao ki tumheñ koī sadā detā hai