kyā ḳhabar kab se pyāsā thā sahrā
saare dariyā ko pī gayā sahrā
log pagDanDiyoñ meñ kho.e rahe
mujh ko rasta dikhā gayā sahrā
dhuup ne kyā kiyā sulūk us se
jaise dhartī pe bojh thā sahrā
baḌhtī aatī thī mauj dariyā kī
maiñ ne ghar meñ bulā liyā sahrā
jaane kis shaḳhs kā muqaddar hai
dhuup meñ taptā be-sadā sahrā
kho ke apnā vajūd añdhere meñ
raat kitnā udaas thā sahrā
zehn ko vādiyāñ uThāte phireñ
aañkh meñ aa ke bas gayā sahrā
mere qadmoñ ko chūmne ke liye
raste raste se jā milā sahrā
maiñ samundar ko ghar meñ le aayā
mere dar par paḌā rahā sahrā
merā is meñ bikharnā thā 'ābid'
phir mujhe DhūñDhtā phirā sahrā