kisī maqām pe ham ko bhī roktā koī
magar uḌaa.e liye jaatī hai havā koī
tamām-umr na mujh ko milā vajūd mirā
tamām-umr mujhe sochtā rahā koī
mujhe sameT lo yā phir uḌā ke le jaao
ye kah ke rāh-e-talab meñ bikhar gayā koī
yūñhī sadā.eñ na do ḳhāmushī ke sahrā meñ
havā chalegī to aa jā.egī sadā koī
kisī ko apnī nigāhoñ pe e.atibār na thā
hameñ hamārī tarah kaise dekhtā koī
hazār sañg haiñ rāhoñ meñ ab bhī so.e hue
ye aur baat hai ham ko jagā gayā koī
badan ke dasht ko ham jis se paar kar lete
kahīñ milā na hameñ aisā rāsta koī
maiñ band kamre meñ ḳhāmosh rah to saktā huuñ
mire badan meñ agar ghuT ke mar gayā koī