shahr se koī mazāfāt meñ aayā huā thā
ek bāshinda mirī ghaat meñ aayā huā thā
yūñhī kaaTe nahīñ dushman ne mire donoñ haath
us se zar baḌh ke mire haath meñ aayā huā thā
ab jahāñ ḳhushk zamīneñ haiñ badan haiñ banjar
ye ilāqa kabhī barsāt meñ aayā huā thā
āḳhirī rail thī aur tujh se achānak thā milāp
maiñ ajab sūrat-e-hālāt meñ aayā huā thā
is tarah baañT diyā tū ne mujhe hissoñ meñ
jis tarah maiñ tujhe ḳhairāt meñ aayā huā thā
merī pahchān bane peḌ parinde aur phuul
saarā dehāt mirī zaat meñ aayā huā thā