juz aur kyā kisī se hai jhagḌā faqīr kā
kuttoñ ne rok rakkhā hai rasta faqīr kā
ujlā hai us se baḌh ke kahīñ ruuh kā libās
mailā hai jis qadar bhī ye kurtā faqīr kā
jab dhuup ke safar meñ mirā ham-safar banā
bargad se bhī ghanā lagā saaya faqīr kā
dariyā kabhī palaT ke nahīñ aayā aaj tak
badlegā kis tarah se irāda faqīr kā
kuTiyā kā ho ki koī mahal kā muqīm ho
har aadmī ke saath hai rishta faqīr kā