Hanif Fauq

ye faza-e-nil-gun ye baal-o-par kafi nahin

Hanif Fauq

ye fazā-e-nīl-gūñ ye bāl-o-par kaafī nahīñ
māh-o-anjum tak mirā zauq-e-safar kaafī nahīñ
ek saa.at ik sadī hai ik nazar āfāq-gīr
ab nizām-e-gardish-e-shām-o-sahar kaafī nahīñ
phir junūñ ko vus.at-e-aflāk hai koh-e-nidā
ai dil-e-dīvāna dasht-e-pur-ḳhatar kaafī nahīñ
ye havā-e-nam ye siine meñ sulagtī aag sī
aah ye umr-e-ravāñ kī rah-guzar kaafī nahīñ
phir mashiyyat se ulajhtī hai mirī dīvāngī
nāla-e-shab-gīr ashkoñ ke guhar kaafī nahīñ
ārzū-e-be-karāñ hai aur jism-e-nā-tavāñ
kyā rag-e-jāñ ke liye ye neshtar kaafī nahīñ
ḳhunkī-e-shabnam se ġhunche ko nahīñ taskīn-e-qalb
zaḳhm-e-gul ko ab nasīm-e-chāra-gar kaafī nahīñ
shīsha-e-shab meñ bharī hai 'fauq' jo sahbā-e-kaif
qatra qatra bhī piyūñ to raat bhar kaafī nahīñ
Top Urdushayar.com