nibhānā ho va.ada to aisā kareñ
ki va.ade se pahle irāda kareñ
har ik baar apnī hadeñ aañk kar
har ik baat had se ziyāda kareñ
talātum kī dhun jin kā sañgīt hai
vo tūfāñ ke hī giit gaayā kareñ
adhūrā rahegā ye rishta agar
ham ik dūsre ko na puurā kareñ
ye paanī kā hai farz har haal meñ
so aañsū bhī nikle to sabza kareñ
marāsim ke dhāgoñ kī tāsīr hai
ki suljhā.ūñ jitne ye uljhā kareñ
raheñ dil meñ kuchh barahna hasrateñ
na āñkhoñ kī khiḌkī se jhāñkā kareñ