Navin Joshi

jab subh hui aai jab sanjh Dhali aai

Navin Joshi

Mumbai, Maharashtra, India

1967
jab sub.h huī aa.ī jab sāñjh Dhalī aa.ī
hai yaad tirī tujh sī be-bāk chalī aa.ī
thā be-numū sā mujh meñ ik paudhā mohabbat kā
ye mo.ajiza hai terā jo is pe kalī aa.ī
ehsān havā kā hai bekal mirī sāñsoñ pe
ḳhushbū tire dāman kī le kar ye chalī aa.ī
āvāz tirī ran-jhan paa.el kī ho jaise dhun
bātoñ meñ tirī ghul ke misrī kī Dalī aa.ī
raftār achānak hī dhaḌkan kī baḌhī jaa.e
ye dil kā ishāra hai ab terī galī aa.ī
kyoñ shaam lagā aa.ī vo surḳh tirī biñdī
aur hāthoñ meñ ye terī mehñdī bhī malī aa.ī
ruḳhsār pe hai laalī māthe pe pasīna hai
le ruup tirā le ke ab sub.h chalī aa.ī
Top Urdushayar.com